Building again
"आखिर में सबकुछ जाने देने का नाम ही जिंदगी है"
Mauka ,
ki kash ek akhiri mauka mil jata to mey sab thek kar deta , sari galtiya sudhar leta , or behtar karta , or acche se karta , wo sab kuch karta jisse me chezo ko sudhar skta .
Khas aise na hua hota , khas mene smay rehte cheze sambhal li hoti , khas mene us samay dyan dia hota , has mene wo bat bol di hoti , khas mene wo chez na ki hoti or khas wo ek saksh ek akhiri bar ruk jata .
Yai sawal atey hai na jehen me , jab tum khud ko jindagi ka sabse ahem hissa kho dete ho ya yu kahu ki khud ko hi kho detey ho , yai awaze man me bar bar ghujti rehti hai jab tumhare samne se wo sab kuch ja rha hota jisko tum bade naj se nade pyar se banaya tah . apni dil ko nichodh kar jis ghar ke fulon ko tumne pani dia tah or jiske bagiche me tumhe apni asawo ke paude ugaye teh . jiski diwaro ko tumhe apni jindagi me ayi har ek ummed se banaya tah aise ummede jinko kabhi thoda na ja sake , wo chat jo tumne apne dil se bhi jyada majboot banai thi .
Par hum apni khusiwo ki duniya banate banate ye bhool jate hai ki un bagicho me jehrile sanp bhi ayenge , jo gulab hamne lagaye hai unpar katain bhi ayenge , jo ped paude hai wo samay ke pani na milne par suukh bhi jayenge , diwaro me darare bhi ayengi or chat silan bhi legi.
"Niyati" ye wo sabd hai jispar hum kabhi sayad dyan hi nai dete . ya bus taltey rehte hai , kyuki hum apne khawabo ka mehel sajane me itne wasyatha rehte hai ki bujargo ki seekhor unki bataon par jara bhi gaur nai karte . hame maa bap bade bhai behen or unse bhi bujurg log ye duniya dekh chuke hai wo is sabd ka matalab accahe se janate hai , bhale hi w ajj ki adhunikta or taur tariko , rehen sehen se parichit na ho prantu unhone niyati ka matlab jana hota hai , unhe is bat ka bhali bhati gyan hota hai ki jis bhi prakar se jiwan jiye ya jiwan me sawdhaniya bartain hame niyati unhi chezo se gujaregi jisse har ek manusya gujra hai wo hum usey na badal sakte hai , na hi ussey bach skte hai . hum ant mey akar wai galtiya karenge jo hame nai karni thi , humwai raste chunenge jo hame nai chunne teh , hum unhi patthoro ko dhakelenge jo kabhi nai hilne wale prantu niyati ne hame lakar un pattharo se gher diya hai taki , unse hame un patthoro se piche beh rhi sundar jhil or swarg jaisa watawaradh dikha dia hai taki hum un patthoro ko dhakelte dhakelte apna jiwan ke mahatyapurn pal waryatha kar de .
ab jab app niyati ke ki jatil jal ko smjh gaye hai to yeh bhi ley ki jis wakt app us ghar ki or imarate banane or dusro ke gharo me jakar unke bagicho ka anand le rhe hote hai , apka ghar tuth rha hota , or niyatai hame isi bharam me rakhti hai ki hamara ghar surakshit hai . app jitni bhi kosis kare ya kitni bhi dhiriridh nichay kar ley , samay ane par apni bhuddi bhrastra ho hi jayegi , apki lalsa bhadh hi jayegi , apka man behek hi jayega , apki samajh kajor padh hi jayegi or app na cahte huye bhi apne banaye huye ghar ko tutney se nai bacha payenge
par ajj me har kisis ki tereh apke sath racha hua khel batnein nai aya huun balki ye ek naya rasta nayi roshni ek nayi soch sanjha karne aya huun . niyati hamesa samusya ko jiwan ke khathin margo par le jati hai , jiwan ke sukh dukh dono se parichit karana hi uska ek matra lakshya hai .
par ek mahan wakyati ki parakah isi me hai ki niyati ko suikarte huye bhi niayati ko apne mutabik dhal ley .
Jo ghar hamne banaya or kho dia usey jane dena cahiye , hamesha jane dena itna muskil nai hota bus hame ye dekhna cahiye ki wo cheze kai nai ja rhi jinse hamne us ghar ko banaya tah . ab bus hamain or behtar or naya ghar banana hai or is abr hum pichli galtiwo se seekh ke behtar banayenge . jaise tute makan ki eet , sariya , cement or darwaze in sab chezo ka istimal hum naye ghar me karte hai usi prakar apne jiwan ka ghar banae me hum purani chezo ka istimal kar sakte , jo cheze nuksan pachuaye naye ghar ki banawat ko unko numayis ki tarah ghar ke storeroom me sajane ke liye chodh dena hai or jo cheze sath ane ko tayyar hai unka istimal naye ghar me karna hai kuc nayi cheze bhi milenge , or sundar darwaze , or majboot eetain , or mehekdar phool jo sayad apne soche bhi na ho bus isi tereh hum ek naya asiyana bana sakte hai apni jindagi ka .
Hamari galti bus yai hoti hai ki hum ghar ko bus naya or behtar banana cahte hai or isi kosis me sbse mahatyapurn chezo ko piche chodh ate hai or niyati ke khel me hum yai fash jate hai kyuki niyati hamain ye yakeen delain har wo kosis karti hai jisse hamain lagey ke yai hamara sbse sundar or ucchya estar ka ghar hai jo hum bana sakte hai , wo hami sari suujh or smajh degi par niyati ke jal me hum itna fash chuke hote hai , itni agey chale jate hai ki hum ye puchna hi bhool jatain ki sabkuch hoone ke bad me , is ghar ko har ek nayab chez se se bhar dene ke bad bhi ye " Suna suna kyu ha?" .